Tuesday, 8 January 2013

Khawab Nama in Urdu, Khawab nama Yusafi, Khawabon ki Tabeer:

A:

->Abad masjid daikhna:
Deendar ho, islam ka khadim ho. Uqbi nijaat paye.

->Abad Khaanqah dekhna:
Gaib se madad milay, dolat mand ho aur bazurgon ki khidmat karay.
->Abad jagah ko gair'abad dekhna:
Museebt-o-afat nazil hone ki neshani hai.
->Abad makan girtay dekhna:
Ghar k malik ki mout waqaya ho, museebat aye.
->Aab jari dekhna:
Jo kaam kerna hai, erada ho, wo khair se sar'anjam paye.
->Aab'Chaah dekhna:
Fayeda'mand ho, fitna aur fasad se door ho.
->Aab shoor dekhna:
Fikar-o-andesha la'haq ho. Pareshan ho.
->Aab'geena dekhna:
Gham-o-andesh se be-qarar ho. Dushman se be-khabar ho.
->Aab Mussafa dekhna:
Darazi-e-umr aur husol-e-khushi-e-barkat ho.
->Aab Gadla dekhna:
Umr kotah ho, ya raanj-o-malal ho.
->Aabla safaid dekhna: 
Zyadti maal ho aur tijarat mein nafa ho.
->Abaad madrassa dekhna:
Mulak mein taleem aam ho, elm hasil kernay ki koshish karay.
->Abnoos dekhna:
Mehnaat-o-mushqat mein kamyab ho aur maal hasil karay.
->Abnoos ghar mein dekhna:
Lakin wo bakheel(Kanjoos) ho ga.
->Atishdaan dekhna:
Khobsurat aurat se shaadi ho.
->Atishdaan mitti ka dekhna:
Lohay ka atishdaan ho tou khandaan ki aurat se shaadi karay.
->Atasheen Shaula dekhna:
Raanj-o-Gham mein mubtla ho.
->Atisheen shaula shehr mein dekhna:
Jaang ho aur fitna-o-fasad barpa ho.
->Aatish'kada dekhna:
Gumrah hone ka andesha hai, fikr mein mubtla ho.
->Aatish'kaday se kuch lena:
Zilaat-o-ruswaye ho. Dunya mein badnaam ho.
->Aata Gandam(Wheat) urtay dekhna:
Maal hasil ho, kaam mein taraqe ho.
->Aata Jau ka dekhna:
Taraqi deen ka bayes hai, naik kaam hon aur gham door hon.
->Aata bikta dekhna:
Jis shakhs ko beechtay dekhay, wo deeen ko duniya k ewaz faroohat karay.
->Aadmi mota dekhna: 
Dolat'mandon mein shaml ho.
->Aadmi kamzoor dekhna:
Darweeshi ekhtyar karay.
->Aadmi lohay ka dekhna:
Darazi umr ho aur be'panah dolat naseeb ho.
->Aadmi tanbay ka dekhna:
Mout aye aur ghar mein kharabi dekhay.
->Aara darkht per chalana:
Pareshani hasil ho.
->Aaru ka darakht dekhna:
Maal-o-dolat milnay ki neshani hai, larki paida ho.
->Aaru zard dekhna:
Beemari anay ki alamat hai.
->Aaru meetha dekhna:
Maal-o-naimat hasil ho, naik'bakht farzand paida ho.
->Azaad hota dekhna:
Qaid ho tou rehaye paaye, ghulami se nijaat hasil ho.
->Azaar'bnd dekhna:
Aurat ya kaneez haath aye, Aish-o-aram hasil ho.
->Aasmaan safaid dekhna:
Dunya mein waba phailay.
->Asmaan surkh dekhna:
Mulk mein khoon'raizi ho. Jang chirnay se takleef milay.
->Aasmaan syaah dekhna:Mulk mein qeht paray, bhook se log pareshan hon.
->Aasman se barish hotay dekhna:
Mulk mein khush'hali ho, loog aram payen.
->Aasman roshan dekhna:
Karobar mein taraqi ho.
->Asmaan se girna:
Kisi museebat mein mubtla ho.
->Aasmaan dekhna:
Buland martba ho aur larka paida honey ki daleel hai.
->Aasman ki taraf jana:
Safar dar'paish ho jis se bohat faida milay.
->Aasman k qareeb pohnchna:
Khushi aur sukon ka bayes ho.
->Aaftaab roshan dekhna:Behtri jaan-o-maal ki daleel hai.
->Aaftaab per abr dekhna:
Ghamgheen honay ki daleel hai.
->Aftaab be-roshan dekhna:
Touba qubol na ho, juwa'bazi aur makari ekhtyar karay.
->Aaftan nisf-ul-nahar per dekhna:
Kamal uroj hasil ho, sardaroon mein shamil ho.
->Aag ya Aatish dekhna:
Aurat maaldaar hasil ho ya barish ho jis se khush;hal ho.
->Aag roshan dekhna:
Jis qadr roshan dekhaybehtri ho or dolat milay.
->Aag ki roshni mein chalna:
Dolat milay, izzat hasil ho aur naiki ka rasta ekhtyar karay.
->Aag ko bhujta dekhna:
Agar ghar mein dekhay tou khandan mein fasad ho. nafrat paida ho.
->Aag ki pooja kerna:Zaalim hakim ka mehkom ho.
->Aag per kuch pakta dekhna:
Munafat be-hisab ho.
->Aag mein kapra jalta dekhna:
Aankhon ko nuqsan ho aur maal k liye pareshan ho.
->Aalu surkh ya syaah dekhna:
Maal-o-dolat hasil ho. karoobar mein taraqi ho.
->Aalu zard dekhna:
Beemari mein mubtla ho.
->Aalu khatay dekhna:
Bayes-e-asayesh ho. Dolat haath aye aur aram paye.
->Alu'bukhara dekhna;
Mausam mein dekhay tou taraqi milay aur maal-o-manal haath aaye.
->Aalu dekhna:
Farzand paida ho , khushi milay.
->Aam dekhna:
Roozgar mein taraqi ho, gaib se madad milay, pareshani dor ho.
->Aam khatay dekhna:
Maal'dar ho, naimat haath aye, aulaad zyada ho, safr ekhtyaar karay.
->Aam ka darkht dekhna:
Bayes-e-paeshani hai, umeedon per paani phir jaye.
->Aansu behtay dekhna:
Shaadi ya khushi ka bayes hai, gham dor hon.
->Aansu bagair roye behna:
Tana'zani mein bad'naam ho.
->Aankhein roshan dekhna:
Kisi buzurq se faiz hasil ho. parhaiz'gar ho.
->Aankh aik andhi dekhna:
Nisf deen ya nisf maal, ya nisf jism ko nuqsan ho.
->Aankhein donon andhi dekhna:
Tamam deen ya maal zaya ho.
->Aankh mein surma lagana:Deen per aamil hone ki daleel hai.
->Aankh mein safaidi dekhna:
Gham mein mubtla hone ki daleel hai. Jitni safaidi dekhay us qadr pareshan ho.
->Awaz mard ki sun'na:
Buzurgi hasil ho.
->Awaz janwaron ki sun'na:
Bayes-e-pareshani hai, museebat paish aye.
->Awaz khush sun'na:
Agar dahni janib ya samnay taraf se sunay tou rahat ka bayes hai aur agar bayen janib ya pusht se sunay tou takleef-o-ranj uthaye.
->Aandhi dekhna:
Waba phailay, log takleef payen, bayes-e-pareshani hai.
->Ayena dekhna:
Dost ya rafeeq milay, tamana dil ki poori ho.

B:

Baat Arbi mein kerna:
Deendar ho, Elm-e-deen hasil karay. Deen-e-Islam se mohabat ho.

Baaja bajana:
Deen se be-behra ho, duniya mein masroof-o-mashgol ho.

Bajra ki roti khana:
Dili muraad poori ho. Rizq mein farahi ho.

Bajra dekhna:
Kisi qadr khair-o-barkat ka bayes hai.

Badaam ki gaari dekhna:
Khair aur naimat ka bayes hai.

Badaam dekhna:

Taraqe-o-dolat ki daleel hai.

Badam Sazb dekhna:
Beemari se shafa paaye.

Badshah dekhna:
Dolat-o-neemat paaye. Hukomat haath aye.

Badshah ko bad'maa dekhna:
Nuqsaan ho, Andeshy se pareshan ho, Sadqa dy ta k balayen door hon.

Badshah ko gair jagah dekhna:
Afaat nazil ho, zaraat barbaad ho jaye.

Badshah musalmaan dekhna:
Khair-o-barkat hasil ho, mulk mein shara'e ahkaam jaari hon.

Badshah se guftufu kerna:
Buland martba paaye, Izzat hasil ho, Ayesh-o-aram milain.

Baaz safaid dekhna:
Izaat-o-touqeer hasil ho, qabeelay mein sardaar ho.

Baaz chaat(Roof) ya darkht per dekhna:
Badshah se enaam hasil ho, buland martba buzurgi paaye.

Baaz ghar mein chupa dekhna:
Larka paida hone ki elamat hai, ya dolat haath aye.

Bara(12) burj dekhna:
Bayes-e-uloom aur hikmaat hasil ho, bohat se kaamon mein shamil ho.

Bawarchi ban'na:
Khair-o-barkat ka sabab hai, neemat be-andaza paye.

But poojna:
Mujrim ya mushrik ho, deen mein fasaad paida karay, bad'naam ho.

But chandi ka dekhna:
Hasb-e-minsha aurat milay.

Bijli aag ki manind girna:
Shehar ya elaqay mein fasad aur fitna ho. Wabaal aur aafat aaye.

Bichchu dekhna:
Kisi se dushmani paida ho, ranj-o-malal paida ho, takleef uthaye.

Bichchu kat'ty dekhna:
Dushman se nuqsaan uthaye.

Bichchu ko martay dekhna:
Dushman se laraye ho, bil'akhir ghalib aye.

Bichchu se dartay dekhna:
Dushman se khayef ho aur pareshani hasil ho.

Baagh dekhna:
Khushi hasil ho, rahat paaye, gham aur dukh door hon.

Baagh phuldaar dekhna:
Dolat haath aye, karoobar mein taraqee ho.

Baagh se phaal torna:
Maal-o-dolat jama karay. Karoobar wasee ho, ba'izzat ho.

Baal sar k lambay dekhna:
Aurat dekhay tou zeenat-o-husn mein yakta ho, mard dekhay tou azarda-o-malool ho.

Baal sar k katay dekhna:
Ranj-o-takleef se nijaat paye, khushi muyassar ho.

Baalon se sar ganja dekhna:
Maal-o-zar jama karay, aqalmand aur daana ho, izzat paye.

Baalon mein kanghi kerna:
Naafa hasil ho.

Bukhar sakht apnay aap ko dekhna:
Tandrusti aur darazi-e-umr ki daleel hai.

Bakhshish mein buri cheez dena:
Fitna-o-fasaad mein mubtla ho, ranj-o-gham uthaye.

Bad'hazmi hote dekhna:
Maal haram paye, aur fasaad karay.

Barf khana:
Dil ko khushi-o-suroor hasil ho. malal door ho.

Bistar safaid dekhna:
Aurat khubsurat se milay. buzurgu paaye.

Bistar per baithna:
Izzzat hasil ho.

Bakri paana:
Aurat milay, ya dolat hasil ho aur rizq mein farawani ho.

Bulbul dekhna:
Ghulam ya kaneez ya baitay se mutradif hai, yani khush'guftaar farzand ya ghulam milay.

Billi chori kertay dekhna:
Fasaad honay ka sabab hai, pareshani dekhay.

Billi ko martay dekhna:
Beemari se shafa paaye, raanj-o-takleef se nijaat paaye.

Billi ko hamla'awar dekhna:

Sakht beemar ho ya kisi museebat mein giraftaar ho.

Billi kaali dekha:
Afaat mein mubtla ho. Giraftaar-e-bala ho.

Bandar dekhna:
Kisi se dushmani paida ho.

Bunyaad makan ki dekhna:
Aman paaye, dushmanon se be'khauf ho aur maaldaar ho.

Bulandi se utartay dekhna:
Martba ghhatnay aur tanazli ohday ki alamat hai.

Badshah se larna:
Farahi nemat ho.

Boosa dena:
Matlab-e-dil hasil ho aur deendaaron mein shamil ho.

Bhairya dekhna:
Badshah zaalim, ya dushman se sadma uthaye, zaahir mein dost ho aur baatin mein dushman ho. Zaarar pohnchaye.

Bhoonchal dekhna:
Museebat-o-bala mein giraftaar ho, gunaah se tauba karay.

Bhook lagna:
Bayes-e-mussarat hai, naye cheez haath anay ki basharat hai.

Beej bona:
Aurat milnay ki daleel hai, koye naya kaam karay jis se dolat haath aye.

Be'hosh hotay dekhna:
Kisi kaam se heerani-o-pareshani hasil ho, lakin bad mein kaamyabi milay

13 comments:

  1. malumati page hai..khawab ki tabeer janna hai to kis tarah aap se rabt akarain

    ReplyDelete
  2. assalam walakum mere naam md.Aman siddiqui hai mai 19 saal ka hu mujhe her baar khawab me pani ya jaise samander aate hai. 2 din pehle... mai ne khawab me dhekha ke mai pani me kise kaste ya kuch the pata nahe... mai vuspe bhait ker pani me jaa raha hu... jab mai ne dhekha 'kabe sharif" ko charo taraf pani hai bass kabe sharif pani ke bech me matlab pani ke vupar hai.... and mai kabe sharif ko peche chod kar aage bad gaya...pani me... so plz baTAye ye iss khawb ke tabir kya hosakte hai...

    ReplyDelete
  3. main ne dekha k main or mera dost 1 purane ghr main henus ghr ki chat nhn mujhe kuudna pr raha h diwaar se kya koi tabeer bataega?

    ReplyDelete
  4. Khawab main mazar as urs dekhna

    ReplyDelete
  5. Kawb mn kisi ko rota dakhna is ki kia tabeer hai

    ReplyDelete
  6. Khwab mai khubsurat white cat ka kia matlab hy

    ReplyDelete
  7. Khuab mein khubsurat gulabi rang ka phool patte ke saath todna kesa hai. please Reply

    ReplyDelete
  8. Khuab mein khubsurat gulabi rang ka phool patte ke saath todna kesa hai. please Reply

    ReplyDelete
  9. A.A plz reply myne khuwb dekha serhi py chrhi hun bht unchai py r girny k qareb hoti tau maut sy dar jati hun r akhir mein gir jati hun r ankh khol jati bss... Plzz rans

    ReplyDelete
  10. Mein ne khwab mein ghr ki chat pe bare bare hole dekhe phir ankh khul gai

    ReplyDelete
  11. Mene apni chat ko girte dekha..dekha me kitchen me kaam kr rhi hn cooker me ghosht ban rha h fr chat hilne lgti h me smjh jati hn y girne wali h..cooker me abbu ke liye gosht ban rha tha to me soch kr abbu bhuke reh jaynge or cooker utha kr bahar nikal jati hun..frr chat girne lgti h..2no kitchen ki or thode bhai ke kamre ke get ki b girti h..fr shi s yad nhi beech ka fr maryam alaihissalam ko dkhti hn jinke sath ek mard b h or wo keh rhi hn ki 'hmare bacche ko to na marte' keh kr roye ja rhi h tbi fr hawa me ek god ka bacchs udhta hua ata h esa mehsus hta h farishte hatho me laye hn or unki god me aa jata h baccha fr wo use bht pyar krti hn me b krti hn ki y mubarak bccha h esa alaihissalam hn pyar krlun wrna naseeb ho na ho ye..plz is khwab ki tabeer zrur btayen..

    ReplyDelete
  12. Yes you are right because I already tried this and the results were awesome and amazing. Keep it up buddy :)
    khawabon ki tabeer

    ReplyDelete